Roman script

Ab main achha kar raha tha

Abba ka kaam ho raha tha thhap

Par woh nahi haar manenge

Woh badal ke rahenge qismat

Filhaal jo waqt tha

Woh kaafi sakht tha

Paise udaane se pehle

De raha hoon sadka

Mujhe rehna hai strong

Dhyan rakhna hai sabka

Pata bhi nahi chala

Achanak se kaise tapka

Pareshani chhod gaya nishani yeah

Aaj gana nahi sunane aaya hu kahani main

Subah ka waqt tha

Abba ke sar mein dard tha

Raat ko sone se pehle

Unke dil mein dar tha

Mummy ka call aaya

Subah boli woh jaldi ghar aa

Main bhaag ke jaake dekha

Abba ka haalat bigadta

Ja raha tha andhar ka dard

Aaj chehre pe dikha raha tha

Kahan par leke jaun

Kuchh nahi samjh aa raha tha

Aise taise karke le gaya unko aspatal

Ek nahi do nahi teen nahi char

Dekha nahi tha unka aisa haal

Leke gaya unko ambulance mein baith ke

Pehchan nahi rahe the abba mujhe dekh ke

Main dekhta hi reh gaya

Kaafi din se roya nahi tha

Lekin us din beh gaya

Maalik pe tab bhi bharosa tha

Main unse keh gaya

Mann hi man mein mere abba ko lauta do

Unke sapne ko poora karne ko

Phir se ek mauka do

Theekh kaise karun main unhein

Rasta koyi bata do abba ko bacha lo

Aisa lag raha tha

Abba yaaddasht kho diye

Icu mein dekhe ke unhein

Ammi bhi ro diye

Par haar nahi maane hum

Pata tha woh lautenge

Bure khayalat aa rahe the

Lekin hum rokenge

Chaukenge jab dekhenge

Bhagwan ka karishma

Main toot raha tha

Mujhe lagne laga sadma

Par annu ballu bhai sumit minta

Shabana didi sab sath the

Family walon ne diya sath

Bole khuda sath hai

Sath hai sath hai khuda mere sath hai

Zindagi hai aisi cheez din kabhi raat hai

Sath hai sath hai khuda mere sath hai

Zindagi hai aisi cheez din kabhi raat hai

Sath hai sath hai khuda mere sath hai

Zindagi hai aisi cheez din kabhi raat hai

Sath hai sath hai khuda sabke sath hai

Zindagi hai aisi cheez din kabhi raat hai kya?

Alhumdulillah!

All praises to allah

Almighty god is great

He is the greatest1

Sabke beech rehke bhi

Akelapan sa mehsoos tha

Stress badhne laga tha

Main thoda sa confuse tha

Par khoya nahi maine khud ko

Shaitan soch mein daalne ki

Koshish mein hai ruko

Jao jhuko aur matha teko

Khuda ke saamne madad karenge teri

Woh khud aake saamne.. Aameen

Par jo hua hai usse

Maine kaafi kuchh seekha hai

Khush rehna seekh le

Khud se kyun rootha hai

Andhar se toota hai

Utna majboot hoga zindagi mein

Aisa kabhi nahi bolna

Ke zindagi hai meri gandagi mein

Jo bhi hota hai sabke peechhe

Kuchh na kuchh wajah

Dukhi tha mei teen din

Lekin aaj phir se

Maza aane laga hai

Abba poore theekh ho gaye

Teri raza hai

Takleefon se ladke aur aage

Chala gaya main

Kal toota tha lekin

Aaj bilkul naya main

Main laut aya hoon tere paas

Kahan tha chala gaya main

Main janta hoon public ko sad nahi

Karne ke liye banaya main

Yeh gaana isliye banaya

Because main chahta hoon ki sab samjhein

Chahe kitni bhi takleef aa jaaye

Pareshaniyan aa jayein

Yaad rakho dimag mein yeh baat rakho

Ki khuda aapke sath hai

Har waqt shukriya ada karo

Har waqt

Woh hath nahi chhodega

Kabhi tera sath nahi chhodega

Pyar baaton khush rakho

Thanks to god!

Life is good

Peace out!

Explore this song