Roman script

Satpuda ke ghane jungle neend mein doobe huye se

Unghate anmane jungle jhaad unche aur niche

Chup khhade hai aankh miche

Ghaas chup hai kaash chup hai

Mook shaal plash chup hai

Ban sake to dhanso inme dhans na paati hawa jinme

Satpuda ke ghane jungle unghate anmane jungle

Sade patte, gale patte, hare patte, jale patte

Vanya path ko dhak rahe se pank dal mein pale patte

Chalo in par chal sako to dalo inko dal sako to

Yeh ghinone ghane jungle neend mein doobe huye se

Unghate anmane jungle

Atpati uljhi latayein daaliyon ko kheench khayein

Pair ko pakde achanak pran ko kass le kanpayein

Saanp si kaali latayien bala ki paali latayein

Saanp si kaali latayien bala ki paali latayein

Lataon ke ghane jungle neend mein doobe huye se

Unghate anmane jungle

Makdiyon ke jaal munh par aur sar ke baal munh par

Machharon ke dansh wale daag kaale laal munh par

Vaat jhanjha vahan karte chalo itna sehan karte

Kasth se yeh sane jungle neend mein doobe huye se

Unghate anmane jungle

Ajgaron se bhare jungle agam gati se pare jungle

Saat saat pahaad wale bade chhote jhaad wale

Sher wale bhaagh wale garaj aur dahaad wale

Kamp se kankane jungle neend mein doobe huye se

Unghate anmane jungle

In vano ke khoob bheetar chaar murge chaar teetar

Paal kar nischint bethhe vijanvan ke bich bethhe

Jhopdi par phoos daale gond tagde aur kaale

Jabki holi paas aati sarsarati ghaas gaati

Aur moohye se lapakati matt karti baas aati

Goonj uthhte dhol inke geet inke bol inke

Satpuda ke ghane jungle neend mein doobe huye se

Unghate anmane jungle

Jaagte angdaiyon mein khoh khaddon khayiyon mein

Ghaas paagal sheel or plash paagal

Lata paagal, vaat paagal, dhaal paagal, paat paagal

Matt murge aur teetar in vano ke khub bheetar

Kshitij tak faila hua sa mratyu tak maila hua sa

Kshubdh kaali lehar wala mathit, uthit zehar wala

Meru wala shesh wala shambhu aur suresh wala

Ek saagar jaante ho usse kaisa maante ho

Theek waise ghane jungle neend mein doobe huye se

Unghate anmane jungle

Dhanso inme dar nahin hai maut ka yeh ghar nahin hai

Utar kar behte anekon kal katha kehte anekon

Nadi nirjhar aur naale in vano ne gaud paale

Laakh panchi sau heeran dal chand ke kitne kiran dal

Jhoomte van phool faliyan khil rahi agyaat kaliyan

Harit durva raqt kislay poot paavan purna rasmay

Satpuda ke ghane jungle lataon ke bane jungle

Explore this song