Roman script

Jab maa kehti thi woh bhi kya din thhe

Piche jane ki zaroorat kya hai

Aksar main yeh sochti thi sunkar

Kuch dino se halaat normal nahin hai

To mann apne aap bhaag jaata hai

Un dino ki aur jab sab normal tha

Ek cup chai aur glucose ke biscuit khakar

Kaam par nikalna

Maa ka piche piche bhaagkar tiffin pakdana

Arre lunch to leti ja sath

Raste mein logon ko

Traffic challan dene se bachne ke liye

Inspector se ladta dekh lagta tha

Police public se kyun jhagadti hai

Main badal gayi ya mera nazariya

Par aaj police kamaal lagti hai

Kahin se kuchh bhi kehte huye dost

Kya kamaal lagte thhe

Lagataar ek hi baat par ghanton baatein

Ab lagta hai woh time waste nahin kiya

Uss connection ka maza hi kuchh aur tha

Jinse kabhi hello bhi nahin huyi

Aaj unka chehra bhi jaana sa lagta hai

Jinke paas ghar nahin hai

Unki aankhon ka sapna bhi apna sa lagta hai

Shayad yeh kudrat humse kuch keh rahi hai

Ab thoda ruk kar sochne ko keh rahi hai

Ab tak jo hua us’se kuchh seekhne ka

Ishaara kar rahi hai

Ab aane wale samay mein

Hum sabko hath pakadkar chalna hoga

Maa shayad yehi keh rahi hai

Ab ahamiyat pata chali

Ki normal se badhkar aur kuchh nahin hai

Meri maa ka pehle ke dino sarahna

Ab samajh aaya ki kyun zaroori hai

Taaki jab sab normal ho jaaye

Hum har uss chez ko jiyein

Jo hamare munh par hansi aur

Doosron ke munh par khushi laate hai

Uski khushi meri hansi

Na tera mera na koyi faasla

Maa sabki sach kehti hai

Sabki aankhon mein sapne hain

Unhein phir se sach karenge

Bas ek baar phir waapas ho jaayein normal days

Explore this song