Roman script

Bhoolna kya, bhulaana kya?

Roothna kya, manaana kya?

Dil ko behlaane ka

Aur bas hai bahaana kya?

Zindagi ka thikaana kya?

Dil kabhi tha sayaana kya?

Rooh mein tu hai mehfooz

Phir tera jaana kya?

Hmm tujhe khoya nahin, tha kabhi

Tu hai yahin kahin, aaj bhi

Fursat ka jo har lamhaa hai

Mujhse bas yeh kehta hai

Aadat teri baaton ki, aaj bhi

Aaj bhi..

Teri aankhon ne jo dekhe thhe

Meri aankhon mein wo sapne hain

Sarhad nahin khwaabon ki, aaj bhi

Tu hai aaj bhi

Bin bulaaye ye aana kya?

Aa gaye toh hai jaana kya?

Teri yaadon se behtar hai

Dil ka thikaana kya?

Tere mere wo pal meethe

Kum lage saath jo beete

Par tu hai door ye meri

Ankhon ne maana kya?

Tujhe bhoola nahin tha kabhi

Tu hai mere kareeb aaj bhi

Fursat ka jo har lamhaa hai

Mujhse bas ye kehta hai

Aadat teri baaton ki, aaj bhi

Hmm.. Aaj bhi!

Teri aankhon ne jo dekhe thhe

Meri aankhon mein wo sapne hain

Sarhad nahin khwaabon ki, aaj bhi

Tu hai aaj bhi

Explore this song