Roman script
Intzar bhi uska kiya Jane kitni dafa khud ko rok kar Aakhir sath chalna dono ne sikh hi liya Tere sang.. Hum dono mein ye duriyan bhi jyada hai Aur tujhe chaha kisi se bhi jyada hai Na mangu kabhi dua tere jane ki Haan tere sang jeene ka irada hai Wo ratein jo sabhi se chup ke Kati hai bahon ke tale Main leke chalu tujhe ajaa Sabhi ko chhod iss duniya se pare Tu meri duaon mein shamil Aur meri panaho mein aaja Tu apni in aankho se mujhe Iss duniya mein alag sa chehra banaja Main kabhi bhi khona naa chahun Aur tere bina kahin kho na main jaau Tu hathon ko thaam ke rakhna Baahon mein teri bas sonaa main chahun Ye aashiqui bilkul aasaan nahin Hum teri mahobbat ke maare hai Bass teri hansi k liye Jane kitni dafa logo se haare hai Ye ratein hayi gavah meri haalat ki Tum nindo mein jo aate jaate rehte ho Na kabhi mere dil ki sunoge tum Na kabhi apne dil ki batein kehte ho Hum dono mein ye duriyan bhi jyada hai Aur tujhe chaha kisi se bhi jyada hai Na mangu kabhi dua tere jane ki Haan tere sang jeene ka irada hai Bella you know I love you but We fighting alot and main bahut thhak gayi hun Tu bata humein kya karna chahiye..? Hum mile lage jaise ye khuda ki sajish hai Tum se hi mere iss dil ko jeene ki khwahis hai Kash tera banu toh jeene ki wajah bhi mile mujhe Tu nahin to jeena naa chahu main kisi bhi haal mein Tere siva mera koyi nahin Ratein gavah ke main soya nahin Main roya nahin aisa lage tujhe Lekin kho ke tujhe kabhi hasa nahin Main khudi ka khud mein raha nahin Ye kaisi hai bekhudi jana meri Tu jaan bana ke kyu jane anjane mein Le ke chali gayi sansein meri Hum dono mein kahamiyan kaafi hai kehne ko Manzile teri meri kaafi door Tu chur hai jaane se mere kahin Aur tere bina humein maut kabool Na khuda sune meri koyi dua Na tere siva mera koyi hua Na jagah mile mere dil mein kisi ko Jab se tune is dil ko chhua Hum tum bass teri aur meri hi batein karenge Jab tak ye sanein hai meri hum sath chalenge Tum naa bas hona khafa aur chale na jana Gumsum ye taare hamesha hi aise rahenge Ye ratein hayi gavah meri haalat ki Tum nindo mein jo aate jaate rehte ho Na kabhi mere dil ki sunoge tum Na kabhi apne dil ki batein kehte ho Hum dono mein ye duriyan bhi jyada hai Aur tujhe chaha kisi se bhi jyada hai Na mangu kabhi dua tere jane ki Haan tere sang jeene ka irada hai
Song details
Song video
music label: Bella Officials