Kabhi Kabhi Yunhi Hamane Apane Ji Ko Bahalaayaa Hai - कभी कभी यूँ ही हमने lyrics by Jagjit Singh

Table of Contents: Lyrics
Kabhi Kabhi Yunhi Hamane Apane Ji Ko Bahalaayaa Hai - कभी कभी यूँ ही हमने
Artist:Jagjit Singh
Album:Non-Film
Year:
Genre:song
Lyricist:
Music Director:Jagjit Singh

Lyrics

kabhi kabhi yun hi humne 
apne ji ko bahlaya hai
kabhi kabhi yun hi humne 
apne ji ko bahlaya hai
jin baato ko khud nahi samjhe 
auro ko samjhaaya hai
kabhi kabhi yun hi humne 
apne ji ko bahlaya hai
humse puchho izzat waalo 
ki izzat ka haal kabhi
humse puchho izzat waalo 
ki izzat ka haal kabhi
humne bhi is shahar me rahkar 
thoda naam kamaya hai
kabhi kabhi yun hi humne 
apne ji ko bahlaya hai
usse bichhde barso beete
lekin aaj na jaane kyo
usse bichhde baraso beete
lekin aaj na jaane kyo
aangan me hanste bacho ko 
be kaaran dhamkaya hai
kabhi kabhi yun hi humne 
apne ji ko bahlaya hai
koi mila to haath milaya
kahi gaye to baate ki
koi mila to haath milaya
kahi gaye to baate ki
ghar se baahar jab bhi nikle
din bhar bojh uthaaya hai
kabhi kabhi yun hi humne 
apne ji ko bahlaya hai
in baato ko khud nahi samjhe 
auro ko samjhaaya hai
kabhi kabhi yun hi humne 
apne ji ko bahlaya hai
You might also like:
Share: Facebook | Twitter

Song details