Roman script
Maana ki ghani raat hai Iss raat se ladne ke liye Poora Bharat ek saath hai Teri koshish meri koshish rang layegi Maut ke iss maidan mein Zindagi jeet jayegi Phir usi bheed ka hissa honge Bas sirf kuchh hi dino ki baat hai Maana ki ghani raat hai Magar poora Bharat ek saath hai In unchi unchi imaaraton ki Chhoti chhoti khidkiyon mein sapne bade hain Filhaal sambhal jaan bacha Sadkon par tere mere rakhwale khade hain Phir khushiyon ka mausam aayega Pakka apna vishwas hai Maana ki ghani raat hai Iss raat se ladne ke liye Poora Bharat ek saath hai Maana ki ghani raat hai Koyi maut se ladkar zindagi bacha raha hai Koyi kachra uthakar bhi taali baja raha hai Koyi khud ki parwah kiye bina Apna farz nibhah raha hai Insaaniyat hai sabse pehle Na koyi dharam na jaat hai Maana ghani kaali raat hai Magar aaj poora Bharat ek saath hai Jisne tera ghar sanwara Aaj woh khud beghar hai Chal pada hai sadak naapne Chehre pe shikhan man mein dar hai Aao khol dein apne ghar ke darwaze Kahein kuchh din bas yehi tera ghar hai Maana ki kaali ghani raat hai Magar poora Bharat ek saath hai
Song details
Song video
director of photography: Vishal Yash Vy