Sawan Aaya Badal Aaye - सावन आया बादल आये lyrics by Dilraj Kaur

Table of Contents: Lyrics
Sawan Aaya Badal Aaye - सावन आया बादल आये
Artist:Dilraj Kaur
Album:Jaan Haazir Hai
Year:1975
Genre:song
Lyricist:Shaily Shailendra
Music Director:Jaikumar Paarte

Lyrics

sawan aaya badal aaye, mere piya nahi aaye
chal du waha wo hai jaha, ab to raha nahi jaye
sawan aaya badal aaye, mere piya nahi aaye
suni gali suna aangan, suna suna hai mera man
suni rate sune hai din, suna suna sara jivan
kis se kahu ye suna pan, mohe se kaha nahi jaye
sawan aaya badal aaye, mere piya nahi aaye
khoyi khoyi aankhe meri, teri rahe dekhe har pal
bhola ye man mane nahi, laute na wo bita jo kal
til til jalu jaise diya, phir bhi bujha nahi jaye
sawan aaya badal aaye, mere piya nahi aaye
mere piya nahi aaye
You might also like:
Share: Facebook | Twitter

Song details