Roman script

Aa.. aa..

Teri aarzuon mein

Kabhi ek Taj ki thi arzoo

Teri aarzuon mein

Kabhi ek Taj ki thi arzoo

Jamuna kinaare Taj ho

Meri baahon mein ho tu

Jamuna kinaare Taj ho

Meri baahon mein ho tu

Teri aarzuon mein

Kabhi ek Taj ki thi aarzoo

Aa.. aa...

Tu na bole main na bolun

Phir bhi ho woh guftagu

Tu na bole main na bolun

Phir bhi ho woh guftagu

Jo sirf andaaz ki

Ehsaas ki mohtaaj hai

Nazar neechi kar ke

Tu puchhe khamoshi se meri

Saamne tu ho mere koi khwaab hai

Ya Taj hai

Aankhon mein ho hairaniyan

Lab pe thehari thehari baat ho

Aankhon mein ho hairaaniyan

Lab pe thehari thehari baat ho

Woh baat jis se meri

Ye zindagi aabaad hai

Tera aks hi hai

Jo phaila hua hai Taj pe

Roshani tumse hi hai

Ye jo chand hai

Kya chand hai

Teri aarzuon mein

Kabhi ek Taj ki thi aarzoo

Teri aarzuon mein

Kabhi ek Taj ki thi aarzoo

Explore this song