Roman script
Paayal ki jhankaar Sa sa sa sa sa... Paayal ki jhankaar bairaniya Birah se tann taa tapat hai Birah se tann taa tapat hai Sada rangeeli uthat jiya ho... Paayal ki jhankaar bairaniya Paayal ki jhankaar bairaniya.. Birah se tann taa tapat hai Sada rangeeli uthat jiya ho Jeena kare mushkil teri payal Ghayal hone laga dil mera Shayad main hi kaayar Shayaron ki shayari bhi Tujhe lage pheeki shayad Layak main ni tere Phir bhi tu hi toh meri inaayat, huh! Sangeet se hai prem Phir bhi jaan tere liye haazir Aakhir mein main hi toh bacha hoon Hua hoon ek musaafir Aur tu hai manzil meri Parchaai hoon main teri Milne mein ab deri Imtehaan kyun hai le rahi Teri payal teri ankhon mein Woh kajal ab pighalne lage Baadal bina ohde koi chadar Sab kuch is tujhpe hai nyochawar Likha par mita diya waqt ne Behana bhi ab chhod diya Yahan pe mere raqt ne Dono hai muqqabil Phir bhi raghbat ke kaabil Bann na chahu tera sahil Phir kyun hota nahin haasil Tera prem tera hoor Teri aankhon ka gurroor Yeh galti teri nahin hai Teri paayal ka kasoor hai Paayal ki jhankaar bairaniya Paayal ki jhankaar bairaniya (Teri paayal ka kasoor hai) Birah se tann taa tapat hai Sada rangeeli uthat jiya ho Qayanaat ka paigaam Haan yeh raat hai bekaam Tere haath mein lagaam Mere dil ki jo benaam Bhulaane ki hai koshish kari Baatein yeh maan Par teri payal ki rishwat Ne banaya beimaan Maine yeh socha kya yeh dhoka Khudko hai roka par yahaan do ka Dil nahin toota yahan toote kayi dil Kisi uchi manzil se kari shuruwaat par Gire pade mile zameen pe yeh saare buzhdil Toh aaj dhoondta hua tujhe Geheraai mein doobta diya jaise Isme ab aag nahin phir bhi thodi jaan Tere iss pyaar mein marna bhi imaan Dooriyon ki wajah se ab kaisi hai yeh ranjish Tera mera raag todega yeh bandish Band is darwaaze ko kiya sab chhoote Tode saare dil par teri payal na ab toote Paayal ki jhankaar bairaniya Paayal ki jhankaar bairaniya (Teri payal ka kasoor hai) Birah se tann taa tapat hai Sada rangeeli uthat jiya ho
Song details
- Singer: Void
- Composer: Exult Yowl
- Lyricist: Void
Song video
director: I Can Shoot You
cast: Madhyama Segal, Ruminator Rajeev Sahir
genre: Hip-Hop (Rap)