Roman script
Raftaar! Woh bole mujhe thoda aage chal Main aage chalta chala gaya Woh bole mujhe thoda aage badh Main aage badhta chala gaya (Raftaar!) Woh bole mujhe thoda aage badh (aage badh) Sann 1988, November 16 Kisi ko thi na khabar zara si Ke aaya duniya mein ek kalakaar Jo banega star desi hip-hop ki zubaani Zalzala tufaani jo labzon mein Tsunami Jo ladd gaya zamaane se ban gaya kahani (Oaah) Hua sab kuch jaisa maine socha Adhi mehnat aadhi rehmat thi Khuda ki Paaon rehte zameen par Par meri aankhein aasmaan pe Ki karoon usey haansil Suna sabko banaya par khud ka Sikha nahi tha rukna Tabhi bana main kaabil Pagal hua jab suna maine rap kisi dost ki wajah se Aaj use mera thank you Bana zariya kamaaya bhara pet maine Logo ki pasand mein bhi hua phir shamil Qaatil bulaate mujhe yaar mere Kara nahi rap maine kabhi ban'ne ke liye cool Yaar dost aaj bhi wahi Jo the dusri mein saath mere Tab Sachdeva tha school Gucci, Versace, Prada, Zara sab Par kabhi kabhi pehnu main shirt 200 waali Taaki apni aukaat aur uss shuruaat ko Ghalti se jaaun na main bhool Woh bole mujhe thoda aage chal Main aage chalta chala gaya Woh bole mujhe thoda aage badh Main aage badhta chala gaya Woh bole mujhe thoda aage chal Main aage chalta chala gaya Woh bole mujhe thoda aage badh Main aage badhta chala gaya Aage chal.. Woh bole aage badh.. Aage badh.. Bade sapne dekhe raat din jo Aisi aulaad mili mere maa baap ko Pet kaata apna diya jo tha bas ka Poora kiya mere har chhote mote khwaab ko Aaj toh hain khush kehte hai kuch kar gaya Kaise main chukaaun ab unke hisaab ko Mili jannat mujhe mare bina dharti pe Beta nahi pala paala ek saihlaab ko Chalo band karta hu aisi baatein Maine hawa mein faila di thodi seriousness Aise gaane hi karunga promote Kharchunga yahi note chaahe views aaye less Haan yes, yahaan gandh jaada bikta hai Jhooth yahan hit hai Sach nahi dikhta hai Kaun hit kitna hai kaisa hai Kisi ko samajh nahi Sabko hi waisa hi dikhna hai jinka hai Kuch aisa hi plan karo jaan ke Main sab kaam nakli hoon jad se mitane wala Kehte hain mujhe rap karo slow ye lo Agli baar main dheere nahi gaane wala Karun mann ki lo photo mere tan ki Mujhse jaada sanki nahi hai tera star Woh sky high main antrikash paar Siyahi de gawahi kalamkaar Raftaar #RAA Woh bole mujhe thoda aage chal Main aage chalta chala gaya Woh bole mujhe thoda aage badh Main aage badhta chala gaya Woh bole mujhe thoda aage chal Main aage chalta chala gaya Woh bole mujhe thoda aage badh Main aage badhta chala gaya Kalam hi dharam hai karni sharam na Zakham zakham lagte merham na Sakan lagan dukhti tapan na Sagan sagan badhti rakam aa Kalam dharam hai karni sharam na Zakham zakham lagte merham na Sakan lagan dukhti tapan na Sagan sagan badhti rakam aa Woh bole mujhe thoda aage chal!
Song details
- Singer: Raftaar
- Composer: Saurabh Lokhande
- Lyricist: Raftaar
Song video
director: Ankit Dahiya
director of photography: Siddharth Vasani
genre: Hip-Hop (Rap)