Jis Praani Par Kripa - जिस प्राणी पर कृपा lyrics by Sadhna Sargam

Table of Contents: Lyrics
Jis Praani Par Kripa - जिस प्राणी पर कृपा
Artist:Sadhna Sargam
Album:13 May Gulabi Nagar
Year:2010
Genre:song
Lyricist:Gopal Gupta
Music Director:Laxmi Vasant

Lyrics

jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara 
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara 
jiska rakshak ishwar usko kab kisne hai mara 
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara 
ek shikari aapne ghar se le dhanush bann nikala bhai 
chidiyo ka karne ke liye wadh van ki or chala bhai 
vahan vraksh ki shakha par do panchhi sukh se rahte the 
ek nar tha duji thi mada ek duje par marte the 
dekha jab dono pakshin ko viyag prashan huaa bhari 
jhat se bann chada liya wadh ki kar li taiyari 
viyag par najar padi dono pakshi ghabraye 
ab dono man soch rahe ab ud kar pran bach jaye 
aasmaan par najar gayi to ang ang sab phul gaya 
sahas dhiraj chhuta bhay se udna tak bhi bhul gaye 
nabh main khooni baaz aur bhoomi par viyagh  hatyara 
jiska rakshak ishwar usko kab kisne hai maara
jis praani par kripa prabhu ki wo kab kisse hara
ab to pakshin ki aasha ka antim sahra chhut gaya 
kah rahi hai nar se mada hey nath vidhata ruth gaya 
ab bichhad jayege dono wo pal swami dur nahi 
kuch rahe hum sath sath vidhi ko ye manjur nahi 
maa kya dono pakshi mar gaye 
nahi beta dono ne sache man se
prabhu ko yaad kiya
par leela dharti leela ko na koi hai pahchana 
kaise raksha karta hai ye bhed koi na jana 
ek vishdhar achanak jane kaise prakat hua 
viyagh ko das liya buri tarha
pairo  se uske lipat gaya 
lakhsay hata ghabrahat se 
ulti disha main teer gaya 
ambar chakkar kaat raha
us pakshi baaz ko chir gaya 
mara shikari sarp dansh se 
bann ne baaz ko mara 
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara 
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara 
jiska rakshak ishwar usko kab kisne hai mara 
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara
You might also like:
Share: Facebook | Twitter

Song details