Roman script
Yeh gaana unke liye hai Jinko main fan nahin Apna parivar samajhta hoon Shayad lafzon se mohabbat bayan na ho paaye Phir bhi koshish kari hai Kabool karna Yahaan tak aana khuda kasam lage khwab sa Tum sabke dilo mein banke baitha mai nawab sa Sunke mujhe dilon ko milati hai thandak Kora kaagaz bana ab mukammal kitaab sa Kuch kisse mere se bataye hi na jaate hain Kahe bhi na jaayein aur dabaaye bhi na jaate hain Main nacheez kaise karoon unka shukriya Jo din raat mere liye sajdon mein aansu bahate hain Main na koi star Main chhoto se chhota hoon Dekh aapka pyar Zaar zaar main bhi rota hoon Nafrat karne wale kaise lage teri baddua Har waqt inki duaaon mein main hota hoon Kabhi bhi kisi ki baaton mein aake Mera tum saath na chhodna Pyaar ki pakki jo dori ko baandha hai Kabhi tum usse na todna Main na bacha ab chaayi mujhme prem ki khumari hai Jism se lekar rooh ki hasti tumhari hai Dil cheer ke fans ko mohabbat dikha dunga Rap scene ka sabko mureed main banaa dunga Aakhri vidaai jab hogi duniya se Maa kasam mere gham mein sabko rula dunga (Maa kasam mere gham mein sabko rula dunga) Fan meri jaan mere liye mera poora jahan Unh unh unh! Koi nhi jaanta tha inse hai bani pehchaan Yeah yeah yeah! Fan meri jaan mere liye mera poora jahan Woo woo woo... Koi nhi jaanta tha inse hai bani pehchaan Wo o.. unh unh.. yeah yeah Wo o.. unh unh.. yeah yeah Lelo khushiyan meri apne gham de jaao Seene se laga ke mujhe choomo paas aao Yeh gaana hai kya aapke pyaar ke aage Hun mai mitne ko taiyar meri jaan hi le jaao Jeetna chahta tha haar gaya to bhi fark nahi Jahan tum na chalo saath chahiye aisi sadak nahi Ghalti ho jaye koi to kar dena maaf Tumhare roothne se battar yahan hoga koi nark nahi Mere apne mujhe chhod de Maa kasam koi gham nahin Par jab tumne nazrein pheri To samajh lena hum nahin Kaise kahun lafzon mein kitna hi pyar hai Fan nahin mere liye mera sansaar hai Ghar mein banaa chuka sabke hi dilon mein Khushnaseeb hoon mila aisa parivar hai Dete raho gali Mai bajata rahu taali Mera pyar hai real Tumhara hate hai jaali Tum fool todo baag ke mujhe dukh nahi Kyunki bana kisi ke dil ka iklauta mai maali Chaahne wale pehle mere liye trophy baad Mujhse zyada khushiyan mile tumhe karu fariyad Main na rahun to mujhe bhool na jana Mere rap rakhna amar mujhe karte rehna yaad Woo! Yeh to mohabbat hai aapki Na yeh banda mahaan hai Tum sab par jaan to kya Saaton janam kurbaan hai (Saaton janam kurbaan hai) Fan meri jaan mere liye mera poora jahaan Koi nahi jaanta tha inse hai bani pehchaan Fan meri jaan mere liye mera pura jahaan Koi nahi jaanta tha inse hai bani pehchaan Wo...
Song details
- Singer: RCR
- Composer: Harsh Bidla
- Lyricist: RCR
Song video
director: Iamvkdop
genre: Hip-Hop (Rap)