Roman script

Jahan Main pyar aur mehr o wafa ki

Reet hai jab tak

Tumhare vaaste waqf hai meri

Chahatein tab tak

Jahan me pyar aur mehr o wafa ki

Reet hai jab tak

Tumhare vaaste waqf hai meri

Chahatein tab tak

Mere har roz ki har ek baat ke

Har pehlo ka unwaan ho

Mere unwaan ki har ek kahani ka

Tum he aghaz ho

Tu rasta tu manzil

Tu aasaan tu hi mushkil

Tu ishq hai tu mohabbat

Tu hi khona tu hi haasil

Main ishq ki woh saada ban gaya hoon

Jise sune jahan sune aasmaan

Main pyar ki woh dua ban gaya hoon

Jise mile jahan mile aasmaan

Haathon ki laqeeron se nazarein jo ulajh jaye

Tere pyar ki tehreerein meri kismat ban jaye

Mere dil ki har ek khwahish tujhme yun simat jaye

Teri baahon ke yeh ghehre mujhse jo lipat jaye

Main kissa hoon mukhtasar mera silsila taweel tum

Mere unkahe alfaaz ki ek unsuni tafseel tum

Main ishq ki woh saada ban gaya hoon

Jise sune jahan sune aasmaan

Main pyar ki woh dua ban gaya hoon

Jise mile jahan mile aasmaan

Tu raabta har saans ka

Tu sukoon hai dil o jaan ka

Tu wasta meri rooh ka

Tu yakeen mere gumaan ka

Main ishq ki woh saada ban gaya hoon

Jise sune jahan sune aasmaan

Main pyar ki woh dua ban gaya hoon

Jise mile jahan mile aasmaan

Main ishq ki woh saada ban gaya hoon

Jise sune jahan sune aasmaan

Main pyar ki woh dua ban gaya hoon

Jise mile jahan mile aasmaan

Explore this song