Roman script
Yeh ishq bahut mushkil tha magar Aasan na tha yun jeena bhi Yeh ishq bahut mushkil tha magar Aasan na tha yun jeena bhi Is ishq ne zinda rehne ka Is ishq ne zinda rehne ka Mujhe zarf diya pindaar diya Kuch ishq tha kuch majboori thi So maine jeevan vaar diya Kuch ishq tha kuch majboori thi So maine jeevan vaar diya Main zinda aadmi tha Main zinda aadmi tha Ik shakhs ne mujhko maar diya Yeh saja sajaaya ghar saathi Meri zaat nahin mera haal nahin Yeh saja sajaaya ghar saathi Meri zaat nahin mera haal nahin Ay kaash kabhi tum jaan sako Ay kaash kabhi tum jaan sako Jo is sukh ne aazaar diya Kuch ishq tha kuch majboori thi So mene jeevan vaar diya Main khuli huyi ek sachaai Mujhe jaan ne waale jaante hai Maine kin logon se nafrat ki Maine kin logon se nafrat ki Aur kin logon ko pyaar diya Kuch ishq tha kuch majboori thi So mene jeevan vaar diya Kuch ishq tha kuch majboori thi So mene jeevan vaar diya Main kaisa zinda aadmi tha Main kaisa zinda aadmi tha Ik shakhs ne mujh ko maar diya
Song details
- Singer: Zaw Ali
- Composer: Master Manzoor
- Lyricist: Obaidullah Aleem
Song video
director: Aamir Mughal