Roman script

Shlok sakshaat taandav kare shabdon se

Bhakshan beat ka daanav sa

Naache magan cheere gagan

Pagla ye lakshan dikhta na maanav ka

Khaya nahi khauf kiya andekha sabko

Ye gir jayega aisa andesha

Kandhe ka taaqat jimmedaari se na bhaga kabhi

Dekh karamaat is bande ka

Ek agan jali kalam bani

Kalam chali to gir gaye charan sabhi

Sharam nahi jo dikhlai dil todne me

Aaj mujhe call kare karamjali

Khoya kise kise paya koi gam nahi

Bhale rishton me mere abhi anban kai

Suna hai ki dukh bechne se hote viral

Chor mere bechne ka abhi koi mann nahi

Rakhtchaap badha Mach gayi khalbali

Rakhtpaat hoga faili hui sansani

Pashchaataap bhoga kitne hi karmo ka

Akasmaat aise aa gye din nahi

Aadhi baat aadha chhand

Aadha kissa abhi baaki aadha

Abhi aadhi geet kya bole beat

Sun dhinak dhinak dhin dhaa dhaa

Garda urega (say what)

Garda urega (aye yo)

Garda urega (skrraaa)

Garda garda gardaa urega (x2)

Chhadm samaaj meri le pareeksha

Ghante ka gyaan ye kare sameeksha

Satya sunau satya dikhau

Tabhi gaane aaeene dikhe wastavikta

"Wasseypur" ye rap scene mere liye

Koi Ramdheer mujhe Kya bolega

In Defineton ko dekh

Meri Nagma pooche

Khoon tera kab Faizal khaulega

Keh mat kuch mujhe pata meri kshamta

Jehmat kiye bina koi nahi banta

Rehmat nahi mehnat ki ye janta

Barkat mila sang maai ki mamta

Bramh ban'ne ko nikal pada hu

Kyuki lage moh mithya ye jag mithya

Nyayadheesh bane huve asal nakal kar

Bana diya hip hop nagan nritya

Kitne takht meri cheekh se gire pade

Kitne bhakt meri geet se bane pade

Kaun jaane kaise pahuncha yaha tak

Kitne rakht ke neer hain bahe pare

Apno ne bheda zakhm kureda sapno ko cheda

Aur diye mujhe saare dard

Dadaaji kahe the bachpan me hi gir ke

Na uth paya fir kaisa mard

Garda urega (say what)

Garda urega (aye yo)

Garda urega (skrrrrt)

Garda garda gardaa urega (x4)

Ahaha bola tha na

Ud gaya garda!

Garda garda gardaa urega kya!

Garda garda gardaa urega kya!

Explore this song