Roman script

Befikar dil ki yaaron sun ke zubaan

Chal pade hai hum ek safar do anjaan

Waqt ka dariya hai koi paaye na thaan

Kaun gully mil jaaye yaaron apna makaan

Paa liyaaah... jeene ja aaj bahaana

Jaaniyah.. yahaan kya khona kya paana

Paa liyaaah... raahein hi mera thikana

Bas tere saath ye baat ban jaaye

Rang jaye.. Rang jaye..

Tere sang zindagi aaj rang jaaye

Tham jaaye.. tham jaaye..

Ye lamhe bas yahin aaj tham jaaye

(Kathe kathe helba jaaun

Sanwariyo ghat maahi)

Aasmaan ke aage bhi hai ek jahaan

Rehte kuch parinde sukoon se wahaan

Sochta hoon udke main jaaun udhar

Jis gully na gham ka ho naam-o-nishaan

Paa liyaaah... jeene ja aaj bahaana

Jaaniyah.. yahaan kya khona kya paana

Paa liyaaah... raahein hi mera thikana

Bas tere saath ye baat ban jaaye

Likha likha maine saare jazbaaton ko

Mere sapno mein aaye har khwabon ko

Kuch Rab kuch khud ke bharose

Sab poore karenge bhare har armaano ko

Mere shabdon ko kuch toh wajah do

Bhale sapne hi mann mein jagaa do

Kuch khwabon ke apne hai raaste

Udke hawaaon mein mujhko sama lo

Meri jholi mein thodi majboori hai

Sapne na aam isliye thodi doori hai

Seene se aag teri jitni bujha lo

Kalmon ke nok pe duniya ye poori hai

Rang jaaye.. Rang jaaye..

Tere sang zindagi aaj rang jaaye

Tham jaaye.. tham jaaye..

Ye lamhe bas yahin aaj tham jaaye

(Kathe kathe helba jaaun

Sanwariyo ghat maahi)

Explore this song