Roman script

Main aur tu kaafi thhe na thi koi zaroorat

Dil bhi tera, tere chehre jitna khoobsurat

Yahi soch ke main tujhme poora kho gaya

Kya socha tha, kya se kya ho gaya...

Main tujhko puchun kya tha ye

Tu kehti sab mazaak tha

Bandh gaya tha tujhse

Ab bandh ho gaya raasta

Hai tujhko mera vaasta

Jawaab de sawaal ka

Tere pyaar ke jaal ka

Mere bure haal ka

Main abhi bhi yaad karke rota

Kitna kiya tha samjhota

Jitna bada samjha humko

Utna ho gaya main chhota

Tujhe na kadar

Tujhe na aasar

Chhodi na tune koi bhi kasar

Jaana chahta tujhse door

Phir bhi teri saari khabar

Par abhi na padta farak

Dil ki baatein kehne thi

Ek aakhri baaar teri bewafaai sehne thi

Tere ghulami se ho gaya hoon ab azaad

Dhayan se sun le ye baat ki...

Aakhri baar kiya pyaar tujhe aakhri baar

Aakhri baar kiya yaad tujhe aakhiri baar

Wo saare lamhe ab aate mere saamne

Jab base the ek dooje ke dil aur jaan mein

Jab basi thi saansein teri muskaan mein

Tabhi ye faasle mere roz praan le

Main abhi bhi wahin hoon tujhe yahi dhoondh raha

Tu hi mujhe dikh rahi tera naam gunj raha

Barsaati thi mujhpe pyaar ki barish

Ab dhundhne par bhi naa milti hai boondein yahaan

Kyun kiya aisa, chhod diya tadapne ko

Kyun di yaadein jab deni thi rakhne ko

Rakh na bhatakne ko, dil ka dard chakhne ko

Pehle haath pakda phir keh diya hatne ko

Itna asaan tha toh mujhko bhi sikha jaati

Keh doon teri khushboo mein din raat teri yaad aati

Lag raha hai khud se kar raha hoon baatein

Kahne na bachi koi baat baaki

Aakhri baar.. socha hum dono ke baare mein

Aakhri baar.. mere saare jazbaat haare the

Aakhri baar.. jo sehna tha seh liya

Aakhri baar.. jo kehna tha keh diya

Aakhri baar.. kiya pyaar tujhe aakhri baar

Aakhri baar.. kiya yaad tujhe aakhiri baar

Aakhri baar.. kiya pyaar tujhe aakhri baar

Aakhri baar.. kiya yaad tujhe aakhiri baar

Explore this song