Roman script

Hai pyaar kya?

Mill jaaye toh aasmaan

Hai pyaar kya?

Mill jaaye toh daastaan

Manzil kahoon, tujhko main ya

Hasraton ka jaise karwaan

Hai pyaar kya?

Mil jaaye toh aasmaan

Hai pyaar kya?

Mil jaaye toh daastaan

Mausam kahoon tujhko main ya

Khilti hui shaam ki badliyaan

Hai pyaar kya, kisko pata

Hai pyaar kya, tu hi bata

Hai pyaar kya, kisko pata

Hai pyaar kya, tu hi bata

Subah kahoon, tujhko main yaa

Sargame yun lipta dhuaan*

Seene mein jaan baaqi hai

Iss pyaar ki pehchaan baaqi hai

Kaise rukoon, ae dil bataa

Ek qatra armaan baaqi hai

Hai pyaar kya?

Mujhko jo ho gaya

Hai pyaar kya

Kya ye tujhko bhi hua

Explore this song