Roman script
Dil lagaayein ya na lagaayein Sochna hai yeh sochna Aazmaayein ya baaz aayein Sochna hai yeh sochna Dil-e-na-tawaan Hai chala kahaan Kisi rahguzar ka nahin nishaan Dil chot hi na khaaye toh Banti nahin kahani Iss raah mein to dil tootne Ki rasm hai puraani Meherbaaniyaan hein yeh pyaar ki Jo nadaaniyaan karaaye Yeh woh aag hai na jalaaye to Kahin chain bhi na aaye Khel jaayein ya laut jaayein Sochna hai yeh sochna Jhool jaayein ya bhool jaayein Sochna hai yeh sochna Dil-e-na-tawaan Hai chalaa kahaan Kisi rahguzar ka nahin nishaan Jaane kahaan le jaayegi Kaisi hai yeh khumari Inkaar bhi kiye jaaye par Duniya issi se haari Woh jo ho gaye kisi par fida Woh na koi baat maanein Yeh woh rog hai jo kare fanaa Hain issi ki daastaanein Na bataayein ya na chhupaayein Sochna hai yeh sochna Dil bachaayein ya jaan de jaayein Sochna hai yeh sochna Dil-e-na-tawaan Hai chalaa kahaan Kisi rahguzar ka nahin nishaan
Song details
- Singer: Ali Sethi
- Composer: Ali Sethi, Noah Georgeson
- Lyricist: Ali Sethi
- Lyricist: Shakeel Sohail
Song video
lyricist: Ali Sethi, Shakeel Sohail