Roman script

Tujhko yaad hai bata

Bhooli bisri woh jagah

Usme lipti woh subaha

Uss ek aangan ko bana

Tu zameen aur aasmaan

Phirta kyun hai yun tanha

Doori jo darmiyaan hai

Tujhme aur aashiyaan mein

Kar de kam faasale tu...

Dastak tu de yahaan pe

Sunte hai dar wahan pe

Kar de kam faasle zara

Oho..

Tu chhod zidd ko

Fakeera ghar aaja

Fakeera ghar aaja

Fakeera ghar aaja

Ho..

Ajnabi shehron ki tu

Kyun baahon mein soye

Yun ginta sitare

Majdhaar ki hai aadat

Paas mein hi the hamesha kinare

Tune dil pe tha likha

Tere ghar ka pataa

Seedhe aksharon mein yun

Kyun akela iss tarah

Baandhe moh ki doriyan

Udta dil ka patanga

Doori jo darmiyaan hai

Tujhme aur aashiyaan mein

Kar de kam faasale tu...

Dastak tu de yahaan pe

Sunte hai dar wahan pe

Kar de kam faasle zara

O o...

Tu chhod zidd ko (O..)

Fakeera ghar aaja

Fakeera ghar aaja

Fakeera ghar aaja

Fakeera ghar aaja!

Explore this song