Roman script

Reply to Emiway’s GiRaftaar

Kabhi tu kehta hai

Main Hip-Hop nahi

(Nahi!)

Kabhi tu kehta hai

Main sirf Raftaar ko sunta hoon

(Kamaal Hai)

Iss baari shor nahi sirf bars

2009 se main underground soldier

Khasiyat meri teri

haathon mein dun kholkar

Paari pe Virat hoon main

Bete zara ball kar

Baatein kar logical

Mujhko na bore kar

Tune tere gaane mein bola main tera Drona

Bola mere jaisa hi tu karta hai flow na

Chabi wala bandar tali maare wo khilona

Main khud bhi na lamba tu mujhse bhi bouna

Ay!

Kaise karega tu beta mera saamna

Mere bina itna hota tera naam na

Wo bhi jaane ab jo na bhi tha janta

Chal beta zara chittha khole tere kaam ka

Chhoti chhoti chaddi

Maal waali aunty

Auntiyon ke peeche tu aur

Ghanti waala Mishra

Kuch bhi na khaas

Itihaas bakwas tera

Khudse na dhota tha tu

Tab se main ghis ra

Beta Raa Raa Raa

Iss field mein to hum hi tere papapa

Beta soya hua sher na jagagaga

Oh bandar tapussiyan na kha kha kha

Maine abhi bhi nishana nahi daga

Mera kuch bhi na karega tu baanka

Mujhe ilam hai apni jagah ka

Mera poora jungle tera hi ilaka

Lage main hoon Raga, mili raahat

Tujhe main bada kiya poori hui chaahat

Body aur boli mein tere se jyada taakat

Likhta hun gaana main to jalte hain kagaz

Bantai ki Public ko thandai pilao

Bantai bada hua mithai khilao

Manj Musik paji se kisne milvaya tha

Welcome chhote tum bhi label pe aao

Underground leke aaya mainstream mein

India ko baata teri meri team mein

Ek din main 2 Mil toh feel le

Mere bina hota nahi poora tera dream

Ay!

Maine kitna Hip-Hop kiya hai

Dekh Google pe daal ke

Tu People’s Choice award hai na

Main Dadasaheb Phalke

Ye paisa paisa mat kar

Meri market value pata kar

Beta dena teri bass ki nahi (Naah!)

Tu khud kisi ki copy Anime Hentai

Teri khud ki koi hasti nahin

Maal nakli tu kash jo bhi bharta hai

20 gaano mein se 10 copy karta hai

Hum jaane ki tu kab copy karta hai

Angrezi Rapper RUSS copy karta hai

Uski tarah kari chal tune baal tune

Woh hai asli tu uska nakli ka cartoon hai

Shuru khud hi kiya saara bawaal tune

Baat kar sakte the aage kiya gaal tune

Maine tujhe Delhi na bulaya

Tu ghar Muhfaad ke tha aaya

Usne hi tera Cypher karaya

Aur tune bola main tujhpe topa pehnaya

Meri topi tere sar

Teri topi mere sar

Cap teri pehni thi maine mere sar par

Video mein proof hai tu jhooth dar kar

Sab main dikh dunga halki sabar kar

Blah blah blah

Tujhe sach lage badbad

Tujhe hone lagi hadbad

Tu bole ki tu jhaad hai

Kanjar hoga banjar tu bhi jhadkar

Jhaad phoonk humpe mantar ni chalte

Tum wo gadhe jinko hunter ni lagte

Chopper-Vimaan zyada antar ni rakhte

Main Rocket hoon beta

Humpe pucture nahi lagte

#RAA

Karun takeoff main

Iske baad munh nahi lagunga

Tu fake bohat hai

Jab kaam hota hai

Tu hota chap bohat hai

Tu dus maar mera beta ek bohat hai

Maine Thappad nikala tha 2013 mein

Sabko hila daala (yeah hila dala)

Main Dangal mein aaya tha

Shohrat kamayi aur Aurat bhi gaa dala

Main tha Coke Studio pe

T-Pain video mein

Tujhse pehle radio pe

Chalun tere areon mein

Beta sher hoon

Chamakta hoon beech bhediyon ke

Yeh choti wale lady boy

Denge tedhi hoke

Itna aata na tu upar

Bina meri seedhiyon ke

Isey kehte hain Payback Payback

Hoja easy aaja cheezein karun laid back

Anyway Emiway

Heavy main anyday

Bro tu funny hai

Tu avein hi hai

Tu avein hi hai (x2)

Chhoti si khoti si neeyat hai gandi

Samajh mein kami hai akal hai mandi

Throw tera fire hai baatein hai thandi

Ek chillata tu aur chillati hai…

Mujhse bhida hai tu chinta pakad

Phir bhi karun teri chinta magar

Tu pagal hai pagle main paglo ka doctor

Jab kaatu main dhad se to ginta na sar

Huh! tu kya bolta hai yaar

Ki rapper dance nahi kar sakta

Abey Tupac trained Ballet Dancer tha

PD background dancer

Aur Common na bohat bad b-boy hai

Teri purani videos dekhi hai maine

Bohat koshish kari hai tune

Usmein dance karne ki

Phir baat palat raha hai, Real reh

Tu English bhi gaaya

Tu naacha bhi bro

Mere jitna bada tera dhancha nahi bro

Main khaandani bro

Jhootha khata ni bro

Teri baatein sunun main

Tu Raja ni bro

Aur #SADAK wali story

Tu bola linein hui teri chori

Phaaji main phir likh ke gaa dunga

Video bana dunga

Baatein humari thi ho rahi

Ay!

#SADAK is liye nahi aaya

Kyunki kabhi main busy kabhi tu

Proof mein screenshot daal sakta hoon

Lekin nahin!

Jisko jispe yaqeen karna hai kare

Main mauke bhi dilata hoon

Aur dhokhe bhi khaata hoon

Ek do peti nahi beta

Ek deal ka khokhe mein khata hoon

Khoob tarakki karo

Aur ye nayi janta mubarak ho

Kabhi dil kare toh shukriya bol diyo

God Bless You!

Explore this song