Roman script

Praan Priye!

Tum Kishan ho main Radha

Tu sui ho main hoon dhaaga

Phir sangam kyun ho aadha

Aadha… aadha…

Pa pa ra pa…

Main badhiya tu bhi badhiya

Shaadi kar le saanwariya

Phootengi phir phuljhadiyan

Badhiya badhiyaaan…

Pa pa ra pa…

Main badhiya tu bhi badhiya

Par main azaad hoon chidiya

Rakh tu apni phuljhadiyan

Badhiya badhiyaa…

Chatt mangni, kar patt mangni

Mujhe patni banale jhatt patt apni

Sun pagli main hoon chhora jungli

Arey kaahe ko banana chaahe meri chattni

Oho. oho.

Main badhiya tu bhi badhiya

Shaadi kar le saanwariya

Phootengi phir phuljhadiyan

Badhiya badhiyaaan…

Nahi priye,

Main badhiya tu bhi badhiya

Par main azaad hoon chidiya

Rakh tu apni phuljhadiyan

Badhiya badhiyaa…

Pa pa ra pa…

Sun sajna kal aaya sapna

Maine sapne mein dekha mandap apna

Sab taare thhe baraati

Sang naach rahe suraj chanda

Jaag jaa re pagli tu

Sapna nahi hai yeh hai durghatna

Durghatna…

Suraj se mandap jal jayega

Mujhe nahi pakna, nahi pakna

Oho. oho.

Main badhiya tu bhi badhiya

Hum kyun phoonke yeh duniya

Rakh tu apni phuljhadiyan

Badhiya badhiya…

Teri bagiya main aake

Phool khila dungi main…

Kar shaadi

Arey bhool ja tu phool wool

Bagiya mein karni hai

Kehti baadi

Aath dus bacche honge

Tutlayenge Mummy Daddy

Mummy Daddy…

Abhi kya kam hai

Jo hum bhi badhaye

Duniya ki abaadi

Arey hum do humaare do

Apna lenge hum ye naara

Ye naara…

Paalung main kaise do bhi kaise

Naukri nahi hai main hoon awaara

Awaara…

Oye oye oye…

Main bhi badhiya tu bhi badhiya

Par pahle dhoondon naukariya

Phodenge phir phuljhaldiya

Badhiya badhiya…

Badhiya re badhiya

Badhiya…

Badhiya re badhiya

Badhiya…

Main badhiya tu bhi badhiya

Dono azaad hain chidiya

Pahle dhoondon naukariya badhiya badhiya

Main badhiya tu bhi badhiya

Dhoondunga main naukariya

Phonkenge ye phuljhadiya badhiya badhiya

Samjhe, aan?

Badhiya!

Explore this song