Roman script

Yeh pal guzar gayaa tere binaa

Ik aur din dhalaa tere binaa

Aage nikal gayaa rastaa meraa

Jab dil thehar gayaa tere binaa…

Ab hota hai savera

Shaam se bhi saanwla

Tujhse yaadon ke alaawa

Kuch bhi toh naa milaa

Tere saath hi neendein bhi chali gayi

Mujhse milne phir kabhi tu naa aaya

Khaali haath hi barsaatein chali gayi

Kitni baatein ho gayi

Tu na aaya… Tu naa aaya…

Tu naa aaya…

Main paigam deti rahi

Par teri khabar naa aayi

Shaam ke parinde laut aaye

Magar mere aangan mein aayi tanhaai

Saath chalna tha jee bhar

Tu chhod aaya udhar

Ab to qissa ho gaya hai

Milna tera mera

Kya jeene ka matlab hi

Saans lena reh gaya

Tere saath hi neendein bhi chali gayi

Mujhse milne phir kabhi tu naa aaya

Khaali haath hi barsaatein chali gayi

Kitni baatein ho gayi, tu na aaya…

Tu naa aaya… Tu naa aaya…

Tu naa aaya… Tu naa aaya…

Jab tu paas tha mere

Paas tha yeh jahaan

Tere bin jo hai mera

Mere kis kaam ka

Kaise bhool main gayi

Saath tu bhi tha mere

Kyun maine hi le liye liya

Do dilon ka faisla…

Tu na aaya…

Explore this song