Roman script

Khwaabon ki duniya mukammal kahaan hai

Jeene ki khwahish mein marna yahaan hai

hmm…

Manzil yahi hai, yahi kaarwan hai

Jeene ki khwahish mein marna yahaan hai

Sar par uthaya hai kyun aasmaan ko

Agar badh hai jaati teri dhadkane…

Sehmi hai dhadkan

Sihri hai dhadkan

Thehri hai dhadkan

Toh kya ho gaya (x2)

Purani kitaabon ke panne sabhi

Gawaahi yahaan dene aa jaayenge

Khayaalon mein yaadon ke aakar ujaale

Sabhi daagh dil ke mita jaayenge

Kisko fikar hai tumhari yahaan par

Agar badh hai jaati teri dhadkane…

Sehmi hai dhadkan

Sihri hai dhadkan

Thehri hai dhadkan

Toh kya ho gaya (x2)

Khuda iss jahaan se toh barson khafa hai

Ganeemat hai tumse toh insaan hai rootha

Dariya ki tarah zamaane ke aansu

Palkon se teri toh qatra hai chhoota

Sar par uthaya hai kyun aasmaan ko

Agar badh hai jaati teri dhadkane…

Sehmi hai dhadkan

Sihri hai dhadkan

Thehri hai dhadkan

Toh kya ho gaya (x2)

Explore this song