Roman script
Chand mera naraz hai Na baat kare, na milta hai Kaise usko samjhaaun Na samjhe rishta dil ka hai Hafton se kitne Usne na baat ki Mujhko pata bhi nahi Kis baat ki naraazgi Chaand mera naraaz hai Na baat kare na milta hai Kaise usko samjhaaun Na samjhe rishta dil ka hai Bheed hai itni duniya mein par Koi na apna dikhta hai Log hain pagal kya samjhe jo Tera mera rishta hai Tujhko bhi toh hai na mohabbat Phir kyun doori rakhta hai Na shab mein na subah mein Na shaam dhale woh milta hai Kaise usko samjhaaun Na samjhe rishta dil ka hai Rasmein aisi duniya ki hain Jinse dil yeh darrta hai Dil bebas hai milna chaahe Yeh rota hai tadapta hai Dil mar sakta hai toh tere bin Par ab jee nahi sakta hai Tere bin beete jo pal Har pal lagta mushkil sa hai Mujhko baat pataa hai yeh Main samjhun rishta dil ka hai Hafton se kitne Usne na baat ki Mujhko pataa bhi nahi Kis baat ki naraazgi Chand mera naraz hai Na baat kare na milta hai Kaise usko samjhaun Na samjhe rishta dil ka hai
Song details
- Singer: Tony Kakkar
- Singer: Neha Kakkar
- Composer: Aditya Dev, Tony Kakkar
- Lyricist: Tony Kakkar
Song video
singer: Tony Kakkar, Neha Kakkar
flute: Tejas Vinchurkar
music label: Desi Music Factory