Roman script

Har ghadi teri raah mein hoon

Jaise teri panaah mein

Tumko itna sochta hoon, kyun?

Kheenchta hai junoon mujhko

Bin tere na sukoon…

Tujhko itna chahta hoon, kyun?

Teri kashish ka kamaal hai

Jo iss tarah chaahun tujhe

Aur badhe kuch pyaas meri

Yaar jab dekhoon tumhe

Baras baras ke bheegun main tujhme

Tu zara sa bhar chhalak ke

Doobun tujhme

Doobkar main jee loon sau janam

O mere sanam sanam sanam

Nawazish karam karam karam

Wahaan main rakh doon anpni jaan

Rakhe tu jis jagah kadam kadam

Tere lahu ki hararatein

mere lamz mein ghulne lagin

Mujhpe ghazal ki kitaab si

teri raunaqein khulne lagin

Waraq waraq tu padhne de mujhko

Har fizaa banaaun tujhe

Aa baahon mein aa, aa re aa…

Yaar mohataram

O mere sanam sanam sanam

Nawazish karam karam karam

Wahaan main rakh doon apni jaan

Rakhe tu jis jagah kadam

Har ghadi teri raah mein hoon

Jaise teri panaah mein

Tumko itna sochta hoon, kyun?

Kheenchta hai junoon mujhko

Bin tere na sukoon mujhko

Tujhko itna chahta hoon, kyun?

Explore this song