Roman script

Woh jo tha khwab saa

Kya kahein jaane dein…

Yeh jo hai kam se kam

Yeh rahe ke jaane dein… (x2)

Kyun na rok kar khudko

Ek mashwara kar lein

Magar jaane de…

Aadatan toh sochenge

Hota yun toh kya hota

Magar jaane de…

Woh jo tha khwaab saa

Kya kahein jaane dein…

Yeh jo hai kam se kam

Yeh rahe ke jaane dein…

Hmm...

Beeta jo beete na haaye kyun!

Aaye yun aankhon mein…

Humne toh be-mann bhi socha na

Kyun aaye tum baaton mein…

Poochhte jo humse tum

Jaane kya kya hum kehte

Magar jaane de…

Aadatan toh sochenge

Hota yun toh kya hota

Magar jaane de…

Woh jo tha khwaab saa

Kya kahein jaane dein…

Yeh jo hai kam se kam

Yeh rahe ke jaane dein…

Aasaan nahi hai magar

Jaana nahi ab udhar

mmm hmm…

Aasaan nahi hai magar

Jaana nahi ab udhar

Maloom hai jahaan dard hai

Wahi phir bhi kyun jaayein

Wahi kashmakash wahi uljhane

Wahi tees kyun laayein

Behtar toh yeh hota

Hum mile hi na hote

Magar jaane de

Aadatan toh sochenge

Hota yun toh kya hota

Magar jaane de

Woh jo tha khwaab saa

Kya kahein jaane dein

Yeh jo hai kam se kam

Yeh rahe ke jaane dein

Explore this song