Roman script

Patthar ke hain sab raaste

Parwah nahin..

Dhundhle hain chehre khwaab ke

Parwah nahin..

Chhalni hai seena rehne do

Ab jo bhi ho parwah nahin..

Sanki hua jaata hai dil

Mann ki kiye jaata hai dil

Kadke betahasha ye

Bijli hua jaata hai dil (x2)

Baadal mein dhoondhe hausle

Pagla gaye hain hausle

Gir jaaye ya udey

Ab toote ya jude, parwah nahin..

Parwah nahin.. hey.. yeah..

Parwah nahin.. yeah..

Parwah nahin.. yeah…

Jhoothe hain ya sachche hain

Sapne aakhir sapne hain

Saare taare tumhi rakh lo

Saare jugnu toh mere hain (x2)

Roke ruke na dil jale

Pagla gaye hain hausle

Ziddi hain dhadkane

Ab bigde ya bane, parwah nahin..

Wo.. parwah nahin..

Ho.. parwah nahin..

Yeah.. parwah nahin.. yeah…

Saanson mein jo bhatti hai

Woh raat aur din dehakti hai

Paani-waani toh dhoka hai

Yeh aag aag se bujhti hai (x2)

Aaye toh aaye zalzale

Pagla gaye hain hausle

Sholon pe hum chale

Ab pighle ya jale, parwah nahin!

Wo.. parwah nahin..

Wo.. parwah nahin..

Wo.. parwah nahin..

Wo.. parwah nahin.. o..

Explore this song