Roman script
Mmm… Kaisa ye kaarvaan, kaise hain raaste Khwabon ko sach karne ke liye Titli ne saare rang bech diye Khwabon ko sach karne ke liye Titli ne saare rang bech diye Saara sukoon hai khoya Khushiyon ki chahat mein Dil ye seham saa jaaye Chhoti si aahat mein Kuch bhi samajh na aaye, jaana hai kahaan Khwabon ko sach karne ke liye Titli ne saare rang bech diye Khwabon ko sach karne ke liye Titli ne saare rang bech diye Alfaaz saanson mein hi, aake bikharte jaayein Khamoshiyon mein bole ye aankhen bezubaan Parchhaiyan hain saathi Chalta hi jaaye raahi Koi na dekhe ab yoh zakhmon ke nishaan Kuch bhi samajha na aaye, jaana hai kahaan Khwabon ko sach karne ke liye Titli ne saare rang bech diye Khwabon ko sach karne ke liye Titli ne saare rang bech diye Na roshni hai koi Aashayein khoyi khoyi Toota phoota hai ummedon ka jahaan Na bekarari koi Bandish rihaai koi Ab tu nigaahon mein na koi intezaar Kuch bhi samajha na aaye, jaana hai kahaan Khwabon ko sach karne ke liye Titli ne saare rang bech diye Khwabon ko sach karne ke liye Titli ne saare rang bech diye
Song details
- Singer: Papon
- Film / album: Bollywood Diaries
- Composer: Vipin Patwa
- Lyricist: Dr. Sagar
Song video
language: Hindi
music label: Zee Music Company