Roman script

Jo Kahun So Karun…

Main libaas nahi

Sirf jo khoontiyon pe tangun, umra jiyun

Dhoop hoon, Aag hoon

Saveron ka, saveraa main banoon

Sanson ka purzaa hoon

Jeene ka darjaa mera hai

O ho ho.. jeene mein zinda bhi

Zindaa mein saara jeena bhi hoon main

Khota sufair ek dozakh jhoolaa

Jhool jhulaavan maanas bhoola

Kaun se sutt ka kaun sa hai charkha

Auliyaa jaanche rooh ka har parchaa

Auliya mera jaane Auliya mera Auliya jaane

Auliya mera jaane Auliya mera Auliya jaane

Kaun se sutt ka kaun yahan charkha

Auliyaa jaanche rooh ka har parchaa

Raftaar hoon

Raastey, main toh pahnoon odhoon, manzil hoon

Soch hoon, Lafz hoon

Jo kahoon so karoon, ghuroor hoon

(Jo kahoon so karoon, ghuroor hoon..)

Dariyaa ka behnaa main

Baadal ka mudnaa udnaa main

O ho ho Aafat aur ziddi hoon main

Haasil aur hasti meri bhi hoon main

Khota Sufair ek dozakh jhoola

Jhool jhulaavan maanas bhoola

Kaun se sutt ka kaun sa hai charkha

Auliyaa jaanche rooh ka har parchaa

Auliya mera jaane Auliya mera Auliya jaane

Auliya mera jaane Auliya mera Auliya jaane

Kaun se sutt ka kaun sa hai charkha

Auliyaa jaanche rooh ka har parchaa (x3)

Jo kahun so karun…

Jo kahun so karun…

Explore this song