Roman script
Aye zindagi tu hi bata Khoya hai jo paaun kahaan? Har bhool ko maafi mile Roothe palo’n ko main laaun manaa? Naa jaane kitni hansti aankhon ke Saare sapne chheen liye maine Saaye hain chheene kitne saro’n se Aur kitne ghar phoonk diye maine Naa jaane kitne rishton ki dor main kaat ke aaya hoon Itni baatein bhoolun main kaise? Kaise main khud ko apnaaun…? Aye zindagi tu hi bataa Khoya hai jo paaun kahaan? Har bhool ko maafi mile Roothe palon ko main laaun manaa Hey Hey Ho aankhein bhi khuli, maaloom tha sab Sab kuch hote dekh raha tha main Phir bhi naa kuch bhi roka maine Jaane kis lehar baha tha maine Kaash ye sab ik khwaab hi ho Aankh khule to sab theek mile Bojh ye bann ke jaaye utar Dil ye mera phir se khile Aye zindagi tu hi bata Khoya hai jo paaun kahaan? Har bhool ko maafi mile Roothe palon ko main laaun manaa
Song details
- Singer: Ram Sampath
- Film / album: Satyamev Jayate (TV Series)
- Composer: Ram Sampath
- Lyricist: Munna Dhiman
language: Hindi