Roman script
Ho kaliyaan baaghon se chhoote Boonde bhi chhodein baadal Ambar se toote sitare Dukh kis ko zyada hove Jisne chhoda usko yaa jiske chhoote sahaare Jiya re Jiya re… Bata re Bata re… Yaad humein aata hai kyun Jisko kiya tha vida Ho ho.. bhoole se bhi bhoole kahaan Jab keh diya tha alvida Khaali dil bhar jaaye ye hota nahi re Khaali bhi dil poora kyun hota nahi re Jiya re Jiya re… Bata re Bata re… Koi bulaye roke koi Jaaye na jaaye soche koi Kya kya nibhaye tode koi Kuch dhaage jo baandhe khulte hi nahi hai Doorie se kuch naate talte kyun nahi hai Jiya re Jiya re… Bata re Bata re… Ho.. kaliyaan baagon se chhoote Boonde bhi chhode baadal Ambar se toote sitaare Dukh kis ko zyada hove Jisne chhoda usko ya jiske chhoote sahaare Jiya re Jiya re… Bata re Bata re…
Song details
- Singer: Javed Ali
- Film / album: Maruti Mera Dost
- Composer: Kartik Shah
- Lyricist: Subrat Sinha
language: Hindi