Roman script
Har pal hai jawaan, har lamha haseen hai Jahaan hum hain wahaan koi gham nahi hai Ye jo hai zindagi, khushiyon’n mein doobi hai Hum toh yunhi jeete hain Rozana, subah leke aati hai roshni Rozana, hai shaam aati dilkashi Jaagi si zindagi hai, yeh gaati zindagi hai Jaagi si zindagi hai, Rozana.. Rango ki baarishe hain aisi nawajishe hain Rango ki baarishe hain Rozana aa… DIl chahta hai har pal muskurane Koi dhun haule haule gungunane ko Jo bhi mila hai use dost hi samjha Zindagi jashn hai jaise manane ko Jo bhi suna use khushboo hi jaana O ho ho… Khushiyo’n ko humne pehchana rozana.. Rozana, subah leke aati hai roshni Rozana, hai shaam aati dilkashi Hai yahi kahani apni hai zindagani apni Hai yahi kahani apni rozana Rango ki baarishe hain aisi nawajishe hain Rango ki baarishe hain Rozana aa… Phoolo’n mein khushboo kaliyon mein rang jaise Hum pe hai jeene ki …. jaise Umeedo’n ki hai goonji ragini si Sapno ka jahaanhai jaana pehchana Ek naya sapna hai dekha rozana Rozana, subah leke aati hai roshani Rozana, hai shaam aati dilkashi Bas hai yahi tamasha rozana Har pal mein ik aasha Bas hai yahi tamasha rozana O..Rango ki baarishe hain aisi nawajishe hain Rango ki baarishe hain Rozana aa…haan…aa…
Song details
- Singer: Salim Merchant
- Film / album: Love Breakups Zindagi
- Composer: Salim-Sulaiman
- Lyricist: Javed Akhtar
cast: Zayed Khan, Dia Mirza, Tisca Chopra, Cyrus Sahukar
language: Hindi