Roman script

Yeh roop aur yeh rangat

Yeh chaal aur yeh nazaakat

Kaisi hai yeh Qayaamat

Ab koi kya kahe

Yeh roop aur yeh rangat

Yeh chaal aur yeh nazakat

Kaisi hai yeh Qayamat

Ab koi kya kahe

Main chali tto jhoom uthi zindagi

Main chali tto jaag uthi roshni

Mausam naya, nayi nayi hawayein hain

Main hoon nayi, nayi meri adayein hain (x2 times)

Teri zulf ki ghatayein, teri shauq si nigaahein

Kaisi hai yeh balayein, ab koi kya kahe

Teri zulf ki ghatayein, teri shauq si nigaahein

Kaisi hai yeh balayein, ab koi kya kahe

Duniya badli hai mera andaaza kyun badle

Sab kuch tto hai badal gaya

Goonja hai jo geet naya tto saaz na kyun badle

Mera bhi sur hai naya

Nayi nayi si hai meri raahein

Naya naya mera safar hai

Nayi nayi si hai meri chaahein

Nayi nayi meri nazar hai

Haan nayi nayi meri nazar hai

Tere nayan hai niraale, madira ke jaise pyale

Sambhle na dil sambhale, ab koi kya kahe

Tere nayan hai niraale, madira ke jaise pyale

Sambhle na dil sambhale, ab koi kya kahe

Dil chaahe ke leke sitaare haar bana loon main

Chand ho mere bin diya

Saagar ki saari lehrein aaja mein saja loon main

Jaane kyun chahe yeh jiya

Koi samjhe tto samjhe deewane

Mujhko hai parwah kya

Main jaane tto bas itna hi jaanu

Dil dhoondta hai raah kya

O dil dhoondta hai raah kya

Tu hai kaise rang laayi, kaisi tarang layi

Kaisi umang laayi, ab koi kya kahe

Tu hai kaise rang laayi, kaisi tarang layi

Kaisi umang laayi, ab koi kya kahe

Main chali tto jhoom uthi zindagi

Main chali tto jaag uthi roshni

Mausam naya, nayi nayi hawaein hain

Main hoon nayi, nayi meri adaayein hain

Oo oo ooo …..hmmmm hmmm…

Explore this song