Roman script
Hey hey, chalo na Dhoondhein shehar naya Jahaan muskurahatein hain bikhri Jahaan se gham ka mausam gaya Jahaan meethi baatein Har ik ajnabi se ho’n Bhoole hum bhi jo saari fikrein Lamha lamha khushiyan bikhrein Idhar-udhar aur yahaan-wahaan Jayein wahin, dil kahe jahaan Baby baby baby… Kab tak giney, hum dhadkane Dil jaise dhadke dhadakne do Kyun hai koi aag dabi Shola jo bhadke bhadakne do Hey hey.. chalo na Gaayein naye naye geet Khel aisa kyun na koi khele Jisme sab hi ki ho jeet Inn dino phool aur taare Koi bhi dekhta nahin Dekhe unko deewane hoke Koi kitna bhi humko toke Khuli hawa ho khula samaa Jaage hue ho sab armaan Baby baby baby… Kab tak giney, hum dhadkane Dil jaise dhadke dhadakne do Kyun hai koi aag dabi Shola jo bhadke bhadakne do Humse dil ne kahi jo baatein Aao maan le… Jis pe chalta nahin hai koi Raah woh chalein Thodi aawaargi ho Thodi-thodi madhoshiyan ho Baby hum ho, tum ho Baby tell me: Kab tak giney, hum dhadkane Dil jaise dhadke dhadakne do Kyun hai koi aag dabi Shola jo bhadke bhadakne do.. (x3)
Song details
- Singer: Joi Barua
- Singer: Suraj Jagan
- Singer: Shankar Mahadevan
- Film / album: Zindagi Na Milegi Dobara
- Composer: Shankar-Ehsaan-Loy
- Lyricist: Javed Akhtar
Song video
singer: Joi Barua, Suraj Jagan, Shankar Mahadevan
cast: Hrithik Roshan, Abhay Deol, Katrina Kaif, Farhan Akhtar, Kalki Koechlin
language: Hindi
music label: EROS